Sunday 30 October 2011

yaado k album hote haien.


Aese bhi khuch khuch gum hote haien,
jo ummed se kam hote haien.
aage aage chalta hai rishta,
peeche peeche hum hote haien.
raag ka waqt nikal jata hai,
jab tak sur qayam hote haien.
bahar ki khushki pe na jao,
patthar andar nam hote haien.
milne koi nahi aata jab,
apne aap mai hum hote haien.
chehro ki beer hai lekin,
sahi salamat kam hote haien,
nazme ghazle khat afsane,
uske naam raqam hote haien.
dil k shelf mai 'shahid' kitni,
yaado k album hote haien.

Kuch kuch pagal hote hai


Pyaar ke deep jalane wale khuch khuch pagal hote haien
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Hijar K Gehre Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua,
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Jaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai,
Sari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Khuwabon Mein Bi piya Milan K Sapne Dekhte Rehte Haien,
Neendon Mein Muskane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Iss Jhoti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha Hai,
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata Hai,
Shab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Kerte Haien,
Auroon Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Us Ke  ISHQ Mein Bheeg Ke “wasique” Ham Ko Yeh Ehsaas Hua,
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.

Aankho mai koi khuwaab sunehara nahi aata...




Aankho mai koi khuwaab sunehara nahi aata...



Aankho mai koi khuwaab sunehara nahi aata
is jheel par ab koi parinda nahi aata.
Halaat ne chehare ki chamak cheen li warna,
do chaar baras mai to burapa nahi aata.
muddat se tammannaye saji bethi haien dil main,
is ghar mai bade logo ka rishta nahi aata.
is darza masaiib k jahannum mai jala hou,
ab koi bhi mousam ho paseena nahi aata.
wo qoam ki taqdeer badalne uthe haien,
jin logo ko bachpan se kalma nahi aata.
bus teri mohabbat mai chala aaya hou warna,
yu sab k bulane se "rana" nahi aata.